Zindagi

Story Info
Har zindagi ki ek apni kahani hoti hai...
26.5k words
3.9
53.4k
17
Share this Story

Font Size

Default Font Size

Font Spacing

Default Font Spacing

Font Face

Default Font Face

Reading Theme

Default Theme (White)
You need to Log In or Sign Up to have your customization saved in your Literotica profile.
PUBLIC BETA

Note: You can change font size, font face, and turn on dark mode by clicking the "A" icon tab in the Story Info Box.

You can temporarily switch back to a Classic Literotica® experience during our ongoing public Beta testing. Please consider leaving feedback on issues you experience or suggest improvements.

Click here
Meriaiza
Meriaiza
13 Followers

Aaj jis pyaar main pagal phirte ho

Kal us se hi dil turwaoge

Aaj jin doston ki dosti pe naaz hai

Kal un se hi peeth pe chura khaoge

Hai matlab ki duniya saali

Yahaan koyi kisi ka yaar nahi

Upar se yeh zindagi bhi hai bewafa

Kab saans saath chor jaye koyi aetbaar nahi

Zindagi ko jitna samajhne ki koshish karoge

Utna hi iski uljhanon main ulajh jaoge

Aaj jis maut se dar ke bhage phirte ho

Ek din woh bhi aayega

Jab isko bhi zindagi se zyada haseen paoge

Nainital ke chote se gaon ki larki ke sapne bahut bade the. Uski zindagi se bhari khobsorat aankhain ek nayi duniya ko dekhne ke sapne bachpan se hi aankhon main bun rahi thi. Woh doosri ladkiyoun ki tarha choti se umar main shadi kar ke ghar grahasti sambhalne ki bajaye kuch aisa karna chahati thi jis se na sirf uske mata pita ka naam roshan ho balke pura desh us pe garv kar sake. Apne khwabon ki tarha uska naam bhi buhat hi sundar tha, Sneha. Sneha bachpan se hi apni hum umar kanyaon main sab se sundar dikhti thi aur jyoon jyoon uski umar barhi, uska husn bhi dil nashin hota chala gaya. Lamba kad, pur kashish halka sanwala rang, bhari hoyi chatiyaan joh woh jab bhi saans leti thi hilte huwe har jawaan ladke ko uski taraf lalchayi huyi nazron se dekhne par majboor kar deti thi. Uske ghane lambe baal jab khule hote the toh uski peth par hawa se lehrate buhat sundar lagte the. Nainital ke kitne hi chore in zilfon se khelne ko machal rahe the. Uski badam jaise gheri aankhain zindagi se youn bhari huyi thi ke agar murde ko bhi gaur se dekh lain toh us main jaan daal dain. Sneha ke gulaab jaise sundar honth hanste huwe uske motiyon ki tarha chamakte danton ke sath andhere main bhi ujala kar dete the. In honton ka ras choosne ko kitne ki bhanware uske ird gird mandraate rehte the magar na hi usne kabhi kisi ko ghans dali aur na hi kabhi kisi main itni himmat huyi ki apne man ki baat usko keh sakain.

Shayad is ki ek waja yeah bhi thi ke Nainital main sab hi Sneha ke pita Master Dina Nath ka buhat aehtraam karte the. Unhoon ne apni saari zindagi insaniyat aur pyaar ka paath parhaate huwe guzar di thi. Dina Nath ki bas aik hi beti thi aur woh unki aankhon ka tara thi. Unko fakhar tha ke unki bitiya parh likh kar desh ki sewa karna chahati thi. Jahaan Sneha ke pita apni bitiya ke khwaab sun kar khushi se phoole na samate the wahaan us ki maa Pooja andar hi andar buhat ghabrati thi. Woh janti thi ke yeh duniya badi hi zalim hai aur kitni ki kaliyaan joh khelne ke khwaab dekhti hain un ko yeh khelne se pehle hi murjhane pe majboor kar deti hai. Woh rozana puja paath karne ke baad yeh hi dua bhagwaan se manga karti thi ke us ki masoom bitiya is hawas se bhare darinde samaj se bachi rahe aur apne pagalpan ke khowaab chor kar apne hath peele kar ke apna ghar basa le. Magar Bhagwaan ko bhi kuch aur hi manzoor tha.

Dina Nath ji ne zindagi bhar izzat toh bahut kamayi thi magar ek chote gaon ka school teacher apni thodi is tankhwa se bhala kya jor sakta hai? Baniya udhaar na kare toh ghar ka choolha thanda ho jaye aise safed poshoun ka toh. Is ke bawajood master ji ne apni bitiya ko apni hasiyat se barh kar zindagi ki har khushi dene ki koshish ki thi. Parantu jab baat Sneha ke Delhi ke bade college main ja ke parhne ki aayi toh bechare Dina Nath ji woh kaise poori kar sakte the? Dil hi dil main master ji bahut ro rahe the aur us waqt se darr rahe the jab unhe Sneha ka yeh sapna todna parega par zindagi kabhi kabhar gharibon pe bhi muskura deti hai. Unki is samasya ko Sneha ne khud hi suljha diya jab usse Delhi College of Engineering main scholarship mil gayi. Master ji ki khushi toh aasmaan ko chu rahi thi aur pehli baar Sneha ki mata Pooja ko bhi aisa laga ke unki bitiya ke sapne such main sakaar honge. Pura pariwaar buhat khush tha parantu gharibon ki khushiyaan aur netaon ke vaade zyada der nahi tikte. Abhi is khushi ko woh sahi tarha se mehsoos bhi nahi kar paye the ke ek nayi samasya khadi ho gayi, Sneha Delhi main rahegi kahaan? Campus fee toh dene ki gunjaish nahi thi master ji ki aur bhala konsa bank ek jald hi retire hone vaale master ko loan deta hai? Such poochiye toh bank loan toh bane hi ameeron ko aur ameer karne aur ghariboun ko sada un ki ghulami karne ke liye hain. Pariwaar ke teeno sadasiye is samasiya ka upaay nikalne ke liye sochne lage par kuch hi der main un ki umeedain khatam hoti nazar aane lagi. Dina Nath ji aur Sneha toh bas himmat haar hi chuke the jab Pooja ne yeh kaha......

Pooja:"Aare haan yeah pehle kyun nahi socha maine?" Sneha aur master ji ki aankhoun main ek baar phir umeed ki kiran nazar aane lagi aur woh Pooja ki taraf dekhne lage.

Master Ji:"Aare bhali maan ab kuch batao gi bhi ke nahi?"

Pooja:"Aap ko meri bachpan ki saheli Mamta yaad hai na? Suna hai ki uska ghar toh waise bhi kisi mehal se kum nahin. Uske pas hogi toh mujhe is ki chinta bhi nahi hogi. Aap kahain toh turant phone pe baat karti hoon us se." Mamta ka naam sunte hi master ji ke chehre se khusi chali gayi thi.

Master Ji:"Aari oh bhagwaan kis duniya main rehti hai toh? Yeah bachpan ki dostiyaan jawani main bachpan ki suni kahaniyon jasi ho jati hain. Kahaan woh aur kahaan hum? Bhala woh kyun Sneha ko apne ghar rehne ki ijaazat denge? Aesi umeed hi mat bandho ke kal ko apni hi nazroun main hi sharminda ho jao."

Pooja:"Aaap bhi na bus.....meri toh behan ki tarha hai woh. Bhala apni behan se madad lene main kesi sharam? Jab usne doctor sahaab ke sath bhag kar shaadi ki thi toh humne hi unhain apne ghar main jaga di thi na? Aaj bhi nahi bholi woh is baat ko. Aap chinta mat ki jiye aur mujhe usse baat karne di jiye." Master ji abhi bhi is baat se puri tarha se sehmat nahi huwe the. Unhoon ne aesa kabhi Pooja ko kaha toh nahi magar unhain Mamta hameshaa buhat matlabi lagi thi. Par shayad woh hi usko samjhne main bhool kar gaye hon? Yeah hi umeed lagye woh Pooja ko bazaar phone karne ke liye le gaye.

Mamta Pooja se kewal 2 saal choti thi magar jis ki zindagi main dhan ki koyi fikar na ho us ke chehare par ghum ke kale badal mehsoos bhi nahi hote. Yeh hi wajah thi ke Mamta Pooja se dikhne main 8-9 saal choti lagti thi. Jawani ke zamane main us ke husan ke charche poore Nanital main the. In hi jawani ke jalwoun ko dekha kar toh usne Delhi se aaye doctor Kisan Kumar ka dil moh liya tha. Mamta ki sagayi bachpan main hi uski mousi ke bete se ho gayi thi. Jab Mamta aur doctor ji ke karnanmon ke kisse ghar main pohanche toh Mamta ko ghar main qaid kar diya gaya. Aise main na sirf usko ghar se bhagne main balke kuch din apne ghar bhi Pooja ne chupne diya tha. Delhi main doctor sahaab ke paiwaar ne Mamta ko na sirf apnaya balke usko har woh khushi di joh ek byaah ke layi gayi bahu ko diye jate hain. Ek pagalpan ki hud tak chahane wale pati ke hone ke bawajood Mamta Nainital ki tarha Delhi main bhi sab mardon ke man mohne main lagi rehti thi. Dosron ke apni or dekh kar aahain bharte dekhne main usse buhat maaza aata tha. Doctor sahab ke sab dost bhi bhabi ke jalwon ke shedayi the. Jab doctor ji na apni dharam patni ke sath alag ghar liya toh woh dost joh pehle zyada milte bhi nahi the unka bhi ghar main aana jana shuru ho gaya. Doctor sahab Mamta se bahut hi pyaar karte the. Unke man main kabhi kisi kisam ka shak na aaya balke woh khush the ke mamta ko tab bhi company mil jati thi, jab woh kaam main masroof rehte the. Woh apne dostoun ke bhi shukar guzar the joh Mamta ko itne mehnge tofhe diya karte the. Such main woh bahutt kismat wale the joh aesi dharam patni aur dost unhe mile the. Mamta Delhi ki party life ki bhi bari shdayi thi. Phir chahe party kisi ke janam din ki ho yaa bas doston main get toghether hi ho, sub kuch uske hi irdh girdh ghuma karta tha. Aaj is umar main bhi woh paty life main buhat khush rehti thi. Jawani ki woh bahar bhale hi ab na rahi ho, phir bhi woh apne aap ko Delhi ki jawaan titliyoun main ghere rakhti thi aur apne gande chutkolon ke karan bhi bahut mashoor thi. Ek din achanak unhe jab apni moonh boli behan Pooja ka phone aaya aur usne Sneha ke bare main bata kar yeah poocha ke kya woh uske paas reh sakti hai toh kuch pal toh woh chup rahi phir kuch soch kar haan kar di. Aaj ke zamane main ache kaam karne wale milte hi kahaan the aur phir ek jawaan ladki unke sath har party main nazar aaye gi toh nighayain un pe bhi toh jami rahengi. Unki bitiya toh seedhe moun unse baat bhi nahi karti thi jab se usne Mamta ko doctor sahab ke dost Mishra ji ki bahoun main ek din school se jaldi ghar aa ke dekh liya tha. Bhala poucho yeah bhi koyi badi baat hai? Delhi jaise bade shehron main toh aesi choti choti baton ki koyi ahemiyat hi nahi hai. Agar doctor ji bhi Mamta ko Mishra ji ke sath dekh lete toh bura na maante toh phir yeah kal ki chori kyun itni naraaz hai? Aese main Mamta ko Sneha ka khayaal aa gaya jise akhri baar bas saal pehle hi us ne Nainital dekha tha.

Mamta:"Sneha........hmmm.......Kya Nainital ki husan ki yeah pari bhi meri tarha sab ko apna deewana bana payegi? Lagti toh buhat sharmili hai magar mere sath rahe gi toh jeena sekh legi." Yeah sochte huwe ek makaar si hansi Mamta ke chehare pe aa gayi.

Dosri taraf Sneha kuch din baad Delhi jane wali train par Nainital se beth gayi. Train main baithe 2 jawaan aur ek bodha bhi apni aankoun se Sneha ke kapde utarne main lage huwe the. Par khuwabon ki duniya main khoyi Sneha se yeah kehssos nahi kiya aur apni chati se gire dupatte ko theek nahi kiya. Wese bhi ye toh aankhon se peene wale rasiya the, buhat jald hi woh Delhi ke bheriyon ke bech main rehne wali thi.

Mamta kitne hi deer chup chap apne aage hath main ghisa huwa suitcase pakdi ladki ko dekhti rahi. Train station ka shor aur bheer bhar bhi usse is ladki ke samne nazar nahi aa rahe the. Kya yeah woh hi ladki hai jise maine Nainital main dekha tha? Ladki toh woh hi thi par farak yeah tha ke us din Sneha ne apne sab se ache kapde Mamta ke aane ki waja se pehne huwe the aur us ki saheli ne usko make up bhi kiya tha. Aaj woh jaise aam tor pe sedha sadhe kape pehne bagair make up ke hoti hai waise hi thi. Sar pe Pooja ne jane se pehle uske malish bhi kar di thi aur teel ki boo abhi tak gayi nahi thi. "Baap re baap! Party pe le jane toh choro, isko toh naukrani ke toor pe bhi main kisi se mila nahi paoungi." Mamta sochne lagi. Sneha Mamta ko aisa dekhte hue bahut ghabra rahi thi par Mamta ghoorna band hi nahi kar rahi thi aur na hi kuch bol rahi thi. Aakir himmat kar ke Sneha ne hi apna moonh khola.

Sneha:"Naa...Namaste Mamta Aunty". "AUNTY! Is ko main aunty nazar aati hoon?" Mamta agar Sneha ko dekh kar kuch khas khush nahi huyi thi toh ab yeh lafz sun kar toh uska dil kar raha tha ke is jahil ladki ko train main wapis bitha ke Nainital bhej de. Badi muskil se usne apna gusssa kaabu main rakh kar naukar ko kaha...

Mamta:"Bansi, madam ka suitcase gaadi main rakho." Mamta ne yeh chand ilfaaz bhi is lehje main kahe the ke Sneha ka darr se khoon khusk ho gaya. Train station se ghar tak ke safar main dono gadi main chup rahe. Bas kucch tha toh Delhi ki sadkon ka shor aur gadi main "pappu can't dance saala" ki CD baj rahi thi. Ghar pohanchne ke baad Mamta ne pehli baar Sneha se baat ki......

Mamta:"Bhooki lag rahi ho toh khana khud daal ke kha lena aur agar thaki ho toh kamre main ja kar aaraam kar lo." Is se pehle ke Sneha koyi jawab deti, Mamta yeah keh kar wahaan se ja bhi chuki thi. Mamta ke is thande rawaiye pe Sneha ko dukh toh buhat pohancha magar sath hi sath yeah khushi ke woh Delhi main hain us ke chehare pe ek muskaan le aayi. Driver ke ilawa ghar main bas ek naukar ho tha, Bansi. Woh saaf safayi se le kar ghar ka sauda laane tak ghar ke saare kaam khud hi karta tha. Mamta bas khana khud pakati thi kyun ke doctor sahab ko kisi aur ke hath ka khana pasand aata nahi tha. Bansi 19 saal ka chote se kad aur gehre saanwle rang ka mamuli sa ladka tha. Aise jawan ladke ko ghar main rakhte pehle toh Doctor Kisan ko ajeeb lag raha tha phir jab dekha ke uski wajah se Mamta ki kitni aasani ho gayi hai toh un ki bhi chinta door ho gayi.

Bansi:"Aayie main aap ko aap ka kamra dekha doon." Yeah keh kar Bansi doosri manzil pe jane ke liye suitcase utha kar seediyaan charne laga. Kamra youn toh bilkul ghar ke baki kamron ke muqable main mamuli sa tha lekin Sneha ke ghar ke muqable mein toh buhat hi badhiya tha. Sneha tukar tukar kamre dekhne main lagi huyi thi aur woh Bansi ki nazrain nahi mehsoos kar payi joh usko ghoor ghoor ke dekh rahi thi.

Bansi:"Mem sahab agar kuch bhi chahiye hua toh mujhe bindaas bol dena." Woh muskura kar bola.

Sneha:"Ji." Sneha bas itna hi keh payi.

Bansi:"Kya khana garam kar ke kamre main la doon?"

Sneha:"Na...nahi mujhe bhook nahi lagi."

Bansi: "Theek hai mem sahab main chalta hoon. Waise mera naam Bansi hai." Yeah keh kar woh kamre se chala gaya. Bhook toh Sneha ko buhat lagi thi par jane kyun usne Bansi ko inkaar kar diya tha aur ab apne aap ko kos rahi thi inkaar karne ki wajah se. Bhook ke sath sath safar ki thakan bhi ho gayi thi is liye woh batti bujha ke lait gayi. Khali peth bister kitna hi acha kyun na ho, neend achi nahi aati. Shaam ko darwaze ki dastak se uski aankh kholi. Jab darwaza khol ke dekha toh Bansi khada tha.

Bansi:"Mem sahab khane ki table pe aap ko bibi ji bula rahi hain."

Sneha:"Tum jao main aati hoon." Bansi ek nazar uski khobsurat chati pe daal kar chala gaya joh lagta tha muskil se kameaz main phansi huyi hai. "Bhagwaan bas ek baar hamain bhi is jannat ke maze karwa do phir chahe jerwan bhar jahanum main jalate rehna" woh man hi man main kehta huwa wahaan se chala gaya. Sneha moonh hath dho kar jaldi se neche khaane ki mez pe chali gayi. Doctor sahab ne Mamta ke muqable main uska ache tarika se suhagat kiya aur us ke mata pita ka haal chal bhi poucha aur yeah bhi kaha ke is ko apna hi ghar samjho. Sneha ko Doctor sahab pehli nazar mein hi buhat pasand aaye aur usko uske pita ji ki yaad aa gayi.

Mamta:"Bansi khana paros do." Khana buhat hi swadisht paka tha. Doctor sahab ka man mohne ke liye Mamta hamesha make up aur khane par buhat dhyaan deti thi. Tabhi toh shadi ke itne saal baad bhi doctor sahab un hi ke gun gaa rahe the. Sneha ka toh bhook se bura haal tha aur phir itna acha khana dekh ke us se raha nahi gaya. Usko khate dekh kar Mamta sochne lagi "Yeah toh khati bhi janwaron ki tarha hai. Hey Bhagwaan kahaan phans gayi main?"

Agle din college ka pehla din tha. Pehle hi din class room main itna shor tha jaise sab ek doosre ko barson se jaante ho. Sneha itne kabhi aas paas ke ajnabiyon ko hairat se dekh rahi thhi toh kabhi wahaan maujood ladkiyon ke kapde dekh kar hairaan ho rahi thi. Zyada tar skirts main thi aur ek toh itni choti mini skirt main thi ke lagta tha nangi hi aa gayi hai. Sab ladkiyon pe bhanwaron ki tarha ladke mandra rahe thhe aur mini skirt wali pe toh 4 jane aik waqt main hi kismat aazmai kar rahe thhe ke jane kis ki lottery nikal jaye? Aese main Sneha se na kisi ne baat ki aur na hi usse gaur se dekha siwaye do aankhon ke joh woh jab se class main aayi thi usse takne main lagi huwi thi. Un aankhon ne duniyawi paint polish, jo baki ladkiyoun ne kiya huwa tha, un ki bajaye is sadgi main bhi chupi husn ki mallika ko pehchaan liya tha. Aese hi Sneha ko dekhte huwe Ali ke dil se bas aik hi sada nikli.....

Hai joh agar yeah pyar to phir is pyaar ki gehrayi main ab doob jane de

Ae Khuda dedaar-e-yaar karwa hi diya hai toh manzil maqsood tak bhi pohanch jane de

Kyun aesa hai ke duniya main basse chehroun main se ek chehra mann moh leta hai?

Kya kabhi nadaan umaar ki bhi muhabbat ka anjaam surkhuro hota hai?

Aaj is hasina ko dekh ke mera man yeah samjh paya hai

Kyun tere sajde main ek shenshah bhi ghulaam hota hai

Ali Delhi ka hi rehne wala tha. Pita ji ki kapdon ki buhat mashoor dukaan thi jahaan uske bade bhai Imraan bhi pichle 2 saal se kaam kar rahe the. Padhayi pe kabhi usne poori tarha se dhyaan nahi diya tha magar kisi na kisi tarha se yahaan tak pass ho ho ke aa hi gaya tha. Ali ke pita Aslam sahab ne bhi kabhi us pe zyada zor nahi daala tha ke woh padhayi pe dhyaan de. Shayad iski waja yeah thi ke unko pata tha ke kal ko is ne bhi unki dukaan pe hath batana hai. Phir chahe 40% le aaye yaan 90%, dhande ka isse bhala kya nafa nuksaan hoga?

Ali apne daraaz kad, khoobsurat chehre aur mazboot shareer ki waja se college ki ladkiyoun main buhat mashoor tha. Kuch chulbule mann ke ladke bhi uski taraf lalach bhari nazroun se dekha karte thhe. Ladkiyaan toh us pe dore dalti rehti thi par woh tha ke kisi ko ghans nahi dalta tha. Uske dost Rahul aur Rohan usse chehra katarte thhe ke kahin woh nawabi shouk toh nahi rakhta? Aesa toh kher nahi tha magr usne apne mann main jaisi ladki ki chavi basa li thi wesi usse kabhi nazar nahi aayi. Phir aesa kyun tha ke Sneha ko dekh kar uska dil tez dhadakne laga tha? Saansain thi ke bas tham si gayi thi aur jism bekaraar ho gaya tha. Sneha ke sharmeelepan ko dekh kar woh itna toh samjh hi gaya tha ke na toh woh dosri ladkiyoun ki tarha thi aur na hi usse phatak se mann ki baat kar dena theek hoga. Thoda samay isko Delhi ki zindagi main dhalne ke liye de do phir koyi acha mouka dekh kar pehle dosti ka kadam barhaounga woh mann hi mann main plan banane laga.

Sneha ke college ka pehla din toh jaise taise nikal hi gaya par apne sharmeelepan ki wajah se woh logoun se baat nahi kar payi. Khair kam se kam usne aik saheli toh bana hi li joh uske bajoo wali kursi pe bethi thi aur uska naam Kiran tha. Kiran ne apne bebaak andaaz aur khoobsurti se Sneha ko pehle hi din buhat mutasir kar diya tha. Kiran wese woh hi ladki thi joh mini skirt main thi. College ke zyada tar ladke uspe awara bhanwroun ki tarha mandraate rehte the par woh thi ke flirt toh sab se karti thi par nazdeek kisi ko apne zyada nahi aane deti thi. Us ki zalim adayein bechare ladkoun ko din main do do baar teel ki sheshi ke sath tanhayi main kuch "khas" samay bitane pe majbor kar rahi thi. Kiran ke pita koyi 5 saal pehle hi ek hadse main chal base the. Woh aur uski mata ab apne khandani makaan main reh rahe the. Ghar ka kharcha chalane ke liye unhoun ne ghar ki dosri manzil kiraye pe charha hi di thi. Thodi amdani hone ke bawajood usko dekh kar aesa hargiz nahi lagta tha ke usko paison ki koyi kami hai.

Sneha jab college se ghar pohanchi toh ghar main gehra sannaata tha. Doctor sahaab ke wapis aane main abhi kafi saame tha. Bansi bhi kahin dekh nahi raha tha. Woh chup chap apne kamre ki taraf jane lagi ke usse ek ajeeb si awaaz sunayi di. Jane kyun woh jis disha se awaaz aayi thi us taraf chalne lagi. Mamta ke kamre ka darwaza thoda sa khola huwa tha aur awaaz wahin se aa rahi thi. Jab woh kamre ke pas pahonchi toh joh nazar aaya usse dekh kar uski aankhain phati ki phati reh gayi. Mumta nangam nangi bistar pe leti huyi thi aur uski tangain khol ke unke bech main Bansi uski choot ko zoor zoor se chatne main laga huwa tha.

Mamta:"aha aha ahaaaaaaaaaaa". Yeah baigairti ka nanga nach apni aankhoun ke saamne dekh kar Sneha wahin jadd ho gayi thi par jane kyun na chahate huwe bhi uski nigahein kamre se hut hi nahi pa rahi thi.

Mamata ne hawas ki aag main pagal ho kar Bansi ko sar se pakda huwa tha aur apni gaand utha utha ke aur kabhi hil hil ke usse apni phuddi chatwa rahi thi. Bansi bhi iss maharat ke sath apni zubaan se baar baar aese chat raha tha jaise kuta bartan se pani peta hai.

Mamta:"Ahhh Bansiiii loot le ahhh loot leeeeee apni malkin ki jawani ko." Us halat main chata lagate huwe bhi Bansi ke zehan main yeah sun kar aaya "Saali kahaan ki jawani? Mujhe toh teri choot pe bhi safead baal dekhayi de rahe hain. Hai re kismat kis gatar main moun marne pe majbor kar rahi hai?"

Mamta:"Chal bas ab saaaaaaahaaaaa nahi ja raha. Bujha de meri pyaas". Yeah keh kar Mamta ne uske sar ko thoda zoor se peche kiya aur apni dono taangein hawa main utha di. Bansi ko bhi issi samay ka intezaar tha. Uski dono tangain apne kandhoun pe rakh kar apne lund ko uski choot ke sath laga diya par andar nahi dala. Usko Mamta ka aese tarapna buhat acha lagta tha. Aese lagta tha usko jaise Mamta uski naukrani ho aur woh nahi.

Meriaiza
Meriaiza
13 Followers