Zindagi

PUBLIC BETA

Note: You can change font size, font face, and turn on dark mode by clicking the "A" icon tab in the Story Info Box.

You can temporarily switch back to a Classic Literotica® experience during our ongoing public Beta testing. Please consider leaving feedback on issues you experience or suggest improvements.

Click here
Meriaiza
Meriaiza
13 Followers

Usko call center pe naukri Kiran ne hi dilwayi thi. Kiran bhi toh pechle 2 mahine se buhat badal gayi thi aur us main yeah badlao sab se zyada Sneha ne hi mehsoos kiya tha. Kuch ghaoo insaan ko puri tarha toor kar rakh dete hain toh kuch usko pehle se bhi zyada mazboot bana dete hain. Kiran ke sath bhi kuch aesa hi huwa tha. Joh Kiran apne irdh girdh ladkoun ko bhanwaroun ki tarha ghomne pe majboor kar deti thi woh ab unse zyada baat na karti thi aur na hi kisi ka tofa kabool karti thi. Khud Kiran ne hi call center main naukri milne ke 2 hafte baad hi Sneha ko bhi wahaan naukri dilwa di thi. Pehle toh Sneha ko ajeeb sa laga jab Kiran ne usse kaha ke woh usse bhi naukri dilwa sakti hai par phir Kiran ne hi usse mana bhi liya.

Kiran:"Sneha apna aap ko kabhi kisi ke sahare ka mouhtaaj na hone dena. Khud ko itna mazboot bana lo ke agar kal ko koyi tofaan bhi aaye toh tum tanha hi uska muqabla kar sako." Yeah baat jane kyun sedhi Sneha ke dil pe lagi aur usne haan kar di. "Sach main Sneha buhat badal gayi hai" aesa Sneha souchne lagi thi. Ab toh woh dosroun ko choro Ali aur Sneha ke sath bhi kahin bahir nahi jati thi. Hamesha koyi na koyi bahana bana diya karti thi aur phir kuch dinoun baad in dono ne bhi usse pouchna chor diya. Par joh bhi tha Sneha ko Kiran pehle se bhi achi lagne lagi thi. Woh usko dost se zyada apni behan manti thi. Aur ali ke bare main woh kya souchti thi? Yeah toh batana buhat hi kathan hai. Ali uske sath mazaak karta tha, usse aksar bahir ghumane ke liye bhi le jata tha maghar kabhi usne aesi koyi baat nahi ki jis se aesa saaf zahir ho ke woh Sneha ko pyaar karta hai. "Kya yeah pyaar hai yaan dosti?" aesa woh tanhayi main soucha karti thi.

Aesa nahi tha ke Ali us se apne pyaar ka izhaar karne ke liye bechain nahi tha. Par pehla pyaar woh ahesaas hai joh mehsoos toh har insaan kabhi na kabhi karta hi hai par uska izhaar karna aasaan baat nahi hoti. Yeah dar ke kahin inkaar ho gaya toh kya hoga? insaan ko andar hi andar kahye jata hai. Phir Ali abhi jaldi main yeah dosti bhi hath se ganwana nahi chahata tha joh unke darmiyaan ho gayi thi. Usne dekha tha ke kese Sneha kisi ladke ko bhi apne pas bhatakne nahi deti thi. Aese main kahain usse woh dosre ladkoun ki tarha lofar na samjh le yeah dar bhi toh tha. Rozana joh samay woh dono ek sath guzarte woh uske din ke sab se haseen lamhe hote the. Sneha ke khoubsurat chehare pe uski masoom hansi toh kabhi uski ek aadh zulaf jab hanwa main beqabo ho kar uske chehare pe aa jati thi toh woh usse buhat hi achi lagti thi. Thode hi dinoun main usne Sneha ke bare main sab kuch jaan liya tha. Saaf dil ke log wese bhi dil main baat chupa ke nahi rakhte aur Sneha ka dil toh abhi bhi sheshe ke jaise bilkul saaf tha. Shayad ishi liye Ali ko kabhi kabhaar mehsoos ho hi jata tha ke Sneha bhi usse ek dost se barhkar pasand karti hai. Jaise jaise din guzre uski mohabat Sneha ke liye pehle se bhi mazboot hoti chali gayai aur ab usko bas intezaar tha us mouke ka jab woh apne dil ki baat Sneha ko keh sake. Aur aesa mouka usse jald hi mil bhi gaya.......

Jahaan Kiran ki mohabat ka dum bharne wale ladke ek ek jar ke usse uska rawaiya badalne ki waja se door hote ja rahe the wahaan hi ek insaan aesa bhi tha joh usse barsoun se dekh raha tha aur ab us main is tabdili ke aane ki waja se buhat khush tha. Woh dosre ladkoun ki tarha shookh na sahi par dil ka bhala insaan tha joh pagloun ki tarha Kiran ko chahata tha. Yeah chahat koyi 2-4 din purani bhi nahi thi. Woh school ke zamane se hi Kiran ko pasand karta tha par kabhi dil ki baat zubaan par la nahi paya tha. "Kya ab saame aagaya hai ke usse bata dooon ke main usse pagloun ki tarha chahata hoon?" Sharad ne apne se kuch door bethi Kiran ko call center main kaam karte dekh kar soucha.

Itne mahine betne ke baad bhi Sneha Mamta ko ek aankh na bhati thi. Usse ghar main moujood dono mardoun ko apni ungliyoun pe nachane ki aadat par gayi thi. Uske pati aur Bansi uske hi geet gate rahain yeah hi woh chahati thi. Aese main Doctor sahaab ki zaorat se zyada meethi zubaan aur Bansi ki Sneha ko dekh kar ralain tapkana Mamta ko gusse se pagal bana raha tha. Kitne hi dinoun se woh aese mouke ki talash main thi ke Sneha se chutkara pa sake par Sneha usse mouka hi bhala kab deti thi? Mamta agar gusse se bhi usse bolti thi toh woh chup rehti thi aur agar kabhi koyi galat baat bhi keh jati toh Sneha nazar andaaz kar deti thi. "Saali buhat hi mesni hai yeah toh?" Aesa souch souch ke uska gusa uske andar hi rehta par saame ke sath sath yeah gusa barhte barhte jwalamoukhi ban chuka tha joh ek din phat hi gaya.

Jab Ali ne Sneha ko ghar chorna shuru kiya toh pehli baar toh dekh mamta ko bhi acha laga. Khushi usse is baat ki nahi thi ke Sneha ke liye aasani ho gayi balke uski souch toh yeah thi ke "Mujhe pata tha yeah randi sati sawitri banne ka dhong karti hai. Jumma juma aath din nahi huwe aur yahaan pe yaar bhi bana liya." Galat insaan hamesha dosroun ko galat kaam karta dekh khush hota hai. Shayad is liye ke usse apne bare main acha mehsoos hota hai yaan phir youn keh lain ke yeah ahesaas hota hai ke chalo hum hi bure nahi saari ki saari duniya ki kharaab hai. Doctor sahaab kaamke silsile main kuch din ke liye shehar se bahir gaye huwe the. Aesa mouka bhala kahaan milne wala tha Mamta ko? Khane ki meez pe jaise hi Sneha aa kar beth gayi, Mumta ne apni zubaan ke teer chalne shuru kar diya.

Mamta:"Bansi khana paros do meem sahab ko. Aaj kal buhat kuch karwa ke aati hain ne is liye thak jati hongi." Ab Sneha koyi bachi toh thi nahi. Delhi main itne mahine bitane ke baad woh sheher waloun ki do maiyene wali batoun ko bhi khoob samjhne lag gayi thi. Mamta ki yeah baat usse buhat ajeeb lagi aur is baar woh chup na reh payi.

Sneha:"Aunty aap kehna kya chahati hain?"

Mamta:"Ab tum itni bhi bachi nahi ho. Khub samjh sakti ho ke kya main keh rahi hoon aur kya nahi. Haan par ek baat samajh lo, maine koyi dhoop main khade ho ke baal safeed nahi kiye. Yeah joh kuch tum kar rahi ho na in harkatoun se baaz aa jao." Har insaan ke bardashat ki bhi ek seema hoti hai aur wese bhi man ke sache log toh kisi ko na galat baat karte hain aur na hi sunna pasand karte hain. Kitne hi aarse se toh woh Mamta ki zehar bhari batoun ko bardashat kar rahi thi par aaj jab usne Sneha ke charitar pe ungli uthayi toh Sneha se bhi bardashat nahi ho paya. Woh kehte hain na ke saanch ko koyi aanch nahi hoti. Ishi liye woh bhi bolna shuru ho gayi.

Sneha:"Apne mata pita se door hone ke bawajood bhi main aaj bhi unke diye sanskaar nahi bholi. Kabhi zindagi main aesi koyi harkat hi nahi ke jis ke liye sharminda hona pare. Aap ne mujhe ghar main rakha aur yeah ahesaan main kabhi nahi bholongi par uska yeah matlab nahi ke aap mere charitar pe khechar uchalayain aur main chup chaap dekhti rahoun."

Mamta:"Aare wah Bansi dekho toh zara. In madam ke toh par nikal aaye hain. Ek toh chori upar se seena zori. Kahaan jate hain tumhari maa ke diya sanskaar jab rozana moun kala karwa ke apne yaar ke sath aati ho?" Bas ab toh Sneha ka ghussa bhi joualamoukhi ki tarha phat gaya yeah sun kar.

Sneha:"BAS! Dosroun ko baat karne se pehle apni gerebaan main jhank kar dekho pehle. Apne naukar ke sath pati ke peche moun kala karwate tumhe sharam nahi aati aur dosroun pe ilzaam tarashi kar rahi ho? Main tumhari tarha giri huyi nahi joh aesi ghatiya harkatain karo." Yeah keh kar Sneha toh ghusse se uth kar apne kamre ki taraf teezi se chali gayi aur ja ke darwaza andar se band kar liya par Mamta wahin but ban gayi. "Kya isko mere aur Bansi ke baremain pata hai? Agar isne aese hi apni zubaan Unke samne khool di toh mera kya hoga?" Kuch lamhoun baad jab usne aapne aap pe kabo paya toh uska ghussa pehle se bhi zyada shidat ke sath wapis aa gaya. Ghuse se chilati huyi woh Sneha ke kamre ki taraf chilate huye jane lagi.

Mamta:"Aare ohh randi teri jurat kese huyi yeah bakwaas karne ki? Tum chote zaat wale logoun ko zara si izaat kya de do sar pe char ke nachne lagte ho. Jane kis kis se mouh kala karewa ke aa ke toh mere hi ghar main mujh pe hi ilzaam lagati hai haramzadi? Nikal bahir kutiya tera main aaj khoon pi jaoungi." Woh aese hi kitni hi deer kamre ke bahir khare ho kar aanap shanap bakti rahi par kamre ke andar se Sneha ne koyi jawab na diya. Phir jab kuch deer baad kamre ka darwaza khola toh Sneha hatoun main apna suitcase pakre kahri thi. Uski aankoun main joh aag Mamta ko nazar aayi usne uska moun band kar diya.

Sneha:"Kehna chahoun toh buaht kuch keh sakti hoon aur agar chaoun toh tumhari asliaat puri duniya ke saamne la sakti hoon. Kesa lage ga Doctor sahaab ke yaah jaan kar ke unki dharam patni ek randi se bhi zyada giri huyi hai joh apna aur apne pariwaar ka peth bharne ke liye apna sharear bechati hai. Par main aesa karoungi nahi. Isko meri kamzori mat samjhna balke tumhare ahesaan ka badla utaar ke ja rahi hoon. Ek baat yaad rakhna. Tumhare jaisi aurat auratzaat pe ek kala dhaba hai. Aainda dosroun pe ungli uthane se pehle ho sake toh apna chahara aaine main dekh lena." Mamta ka to moun khole ka khola reh gaya yeah sab sun kar aur uske moun se phir ek shabad bhi nahi nikal paya jab Sneha uske saamne ghar se bahi ja rahi thi. Ghar se bahir nikalte saame Sneha ko bhi puri tarha se nahi maloom tha ke ab woh kay karegi aur kahaan jaigi par yeah zaror janti thi ke yeah duniya buhat badi hai aur jahaan man mai chah ho wahaan raah mil hi jati hai.

Sarhad Pandey shuru se hi tanha rehne ka aadi tha. School ke zamane se le kar aaj tak usne zyada dost nahi banaye the aur joh banaye un main se bhi koyi uske zyada kareab nahi tha. Sharmili tabiyat ka hone ka karan woh chahe kahin bhi jaye log usse aam tor pe nazar andaaz kar dete the. Dekhne main bhi bas theak tha. Darmeyana kad, sanwala rang aur thode si tond bhi nikli huyi thi. Shayad usse shuru se hi yeah complex tha ke woh dekhne main badsurat hai. Aesa toh kher hargiz nahi tha lekin jaise jaise woh bada huwa sar ke bal bhi ghane na rehne ke karan uska yeah complex aur bhi zyada mazboot hota chala gaya. Parhayi main bhi bas theak hi tha. Aesa nahi ke kabil nahi tha magar kabhi bhi usne parhayi ko sanjedgi se nahi liya tha. Uske pita samjh nahi pate the ke aesa kyun hai? Pehle pehal toh unhoon ne har tarha ki koshish ki. Kabhi pyaar se toh kabhi ghuse se lekin kuch khas farak nahi parha. Akhir tang aa kar unhoon ne usko uske haal par chor diya. Aur toh aur kheloun main bhi woh bilkul dilchaspi nahi leta tha. Ase main bas ek hiaesi cheaz thi uski zindagi main jisse woh pagalpan ki had tak pasand karta tha aur woh thi Kiran. Woh koyi tesri jumaat main tha jab uske pita ka transfer Delhimain ho gaya. naye school main aa kar bhi kuch nahi badla tha. Kuch shararti ladkoun ka uska mazak urana toh kuch teachers ke us pe ghusa nikalna, sab kuch toh pehle jaisa tha. haan par kuch badla tha toh woh yeah ke pehli baar usse koyi acha lagne laga tha aur woh thi uski class main hi ek hansmukh bachi Kiran. Us umaar main pyaar ka toh koyi wajood hi nahi hota aur na hi samjh. Yeah bas wese hi tha jaise hum kisi ko mil kar dost bana chahate hain. Farak bas itna tha ke apne sharmelepan ki waja se woh yeah bhi nahi kar paya. Joh chand ek dost usne banaye bhi woh us jaise hi the. Yeah bhi ek ajab itefaak tha ke uske pita ko bhi ghar company ki aur se wahin mila jahaan Sneha ka ghar bajo main hi tha.

Usse aaj bhi yaad tha ke kese woh chup chup kar Kiran ko apne kamre ki khirki se sadak par mohale ke dosre bachoun ke sath khelte dekha karta tha. Dosre aur Kiran ne toh kabhi usse sahi tarha se dekha bhi nahi aur agar nazar us par parhi bhi toh nazar andaaz kar diya. Kehte hain ke saamay ke sath sab kuch badal jata hai lekin kuch chezain agar badalti bhi hain toh woh ache ke liye nahi hoti. School ke baad dono ne aik hi college main dakhla bhi liya par itne saal beetne ke baad bhi toh sab kuch wese ka wesa hi tha. Aaj bhi woh door se Kiran ko pagloun ki tarha dekha karta tha. Tanhayi main us hi ki tasweer uski aankhoun main ghoumti thi aur doosri ore Kiran ab jawani main har aere gaire se hansi mazak karne ke bawajood bhi Sarhad ki aur kabhi dekhti tak nahi thi. Agar kuch badla tha toh woh uske dil main uske pyaar ki shidat thi. Kabhi kabhaar toh woh yeah souchta tha ke kya yeah pyaar hai yaan janoun? Wese usse pasand toh Kiran ki nayi dost Sneha bhi buhat aayi thi. Woh bilkul Kiran ke baki ke sab dostoun se alag thi aur usse hairat hoti thi ke un dono main dosti huyi bhi toh kese? Chand hi mahinon main usne dekha ke Kiran main tabdili aane lagi hai aur woh us chanchal hassena se ek samjhdaar ladki banne lagi thi. Aesa kitna Sneha ki waja se tha toh kitna umaar ke barhne ke sath yeah toh woh nahi samjh paya par woh is tabdeeli se khush buhat tha. Ab toh sab kuch pehle se behtar hone laga tha. Kiran ne ladkoun se zyada baat cheet bhi kum kar di thi aur kapre bhi dhang ke pehanne lagi thi.

Sarhad ki khushi ka koyi tikhana na raha jab ek din Kiran ne bhi woh hi calling center join kar liya jahaan woh kaam karta tha. Ab toh unki thodi buhat dua salaam bhi hone lagi thi. Phir kuch hi aarse main Sneha ko bhi wahin naukri mil gayi. Sneha aur Sarhad kuch hi dinoun main ache dost bhi ban gaye aur shayad is hi liye Kiran se bhi uski thodi buhat dosti toh hone lagi thi. Yaan phir youn keh lain ke jisse woh dosti samjh ke khush ho raha tha woh bas dua salaam tak hi mehdood thi. Par jis ladki ke sapne woh saaloun se dekhta aa raha tha ab uske sath ek hi jaga pe kaam karna aur din main ek aadh baar baat kar lena bhi uske liye buhat badi baat thi. Dhere dhere hi sahi par sab kuch toh uske liye acha hota ja raha tha sewaye ek cheaz ke aur woh tha Manoj Patel. Kuch saal pehle Kiran ke pita ke dehant ke baad woh unke ghar karayedaar ke toor pe aaya tha aur ab tik hi gaya tha. Bhala ek karobari bande ko aese kisi ke ghar main karayedaar ban ke rehne ki kay zarorat hai? Usko is baat ki hhi jalan thi ke aik hi chhat ke neche woh uski Kiran ke pas hi reh raha tha. Ab Kiran ko dekh kar kis ki neyat kharaab nahi ho sakti thi? Yeah aur aese hi jane kitne sawaal uske man main roozana aate the. Jane kyun usse Manoj main kuch ajeeb si baat nazar aati thi. Aesa uski jalan ki waja se tha yaan sach main daal main kuch kala tha?

Zindagi hamesha ki tarha wese hi ranwa danwa thi. Har taraf bhagam bhaag thi aur har koyi dosre se aage nikal jane ki door main laga huwa tha. Is bheer main hote huwe bhi aaj Sneha apne aap ko kitna tanha mehsoos kar rahi thi. Mamta ki batain abhi tak usse kantoun ki tarha chub rahi thi. Ghariboun ke pas sewaye unki izzat ke hota hi kya hai? Aur agar log uspe bhi ungli uthayain toh yeah woh bardashat nahi kar pate. Woh dhere dhere ek seedh main chali ja rahi thi par manzil kahaan thi iska usko bhi pata nahi tha. Dil main buhat hi zyada dukh tha par aankhoun main usse qaid kar rakha tha. Aese main uska mobile bajta hai. Jab dekhti hai toh Ali phone kar raha hota hai.

Sneha:"Hello"

Ali:"Sneha kesi ho?"

Sneha:"Abhi thodi deer pehle toh tumhare sath thi phir bhi pouch rahe ho ke kesi hoon?" Usne rokhe se lehje main jawaab diya. Mamta ka ghusa abhi tak gaya nahi tha shayad.

Ali:"Hehe nahi woh bas souch raha tha ke kya film dekhne chalain? Suna hai ke Akshay ki buhat achi film aayi hai."

Sneha:"Tum dekh aao main nahi aa paoungi." Dhere se usne kaha. Ali bacha toh tha nahi, samjh gaya ke kuch toh galat hai.

Ali:"Sneha sab theak toh hai na?" Ab tak jin aansoun ko usne apni aankhoun main roka huwa tha woh ab tham na paye and woh rone lagi. Usse aesa rote sun kar Ali buhat ghabra gaya.

Ali:"Sneha kya huwa hai? Please ro mat main aa raha hoon." Rote huwe badi muskil se Sneha bas yeah keh payi

Sneha:"Main ghar pe nahi hoon Ali."

Ali:"Koyi baat nahi. Tum jahaan pe bhi ho bataou main 2 minute main pohanch raha hoon." Uski charoun aur joh log guzar rahe the un main woh bhi apna tamashaa nahi banwana chahati thi isliye aansho saaf karne lagi.

Sneha:"Main ghar ke pas joh park hai wahaan tumhara intezaar karoungi. Please Ali jaldi aana."

Ali:"Main bas 2 minute main pohanch raha hoon." Yeah usne keh toh diya par koyi uraan katola toh pas tha nahi, wahaan pohanchne main koyi 15 minute toh lag hi gaye. Ab tak Sneha apne aap pe thoda buhat kaboo bhi kar chuki thi. Woh park ke bench pe apne suitcase ke sath bethi huyi thi. Usse aese ghumzada bethe dekh kar Ali ko buhat dukh huwa. Jis ladki ke sapne woh din raat dekhta tha aur jis ke liye woh kuch bhi kar sakta tha usse aese bhala kese woh dekh sakta tha?

Ali:"Sneha sab theak toh hai na aur tum aese suitcase ke sath yahaan kyun bethi ho?" Usse dekh kar ek baar phir jaise Mamta ki kahi sab batain Sneha ko yaad aa gayi aur ek baar phir aankhoun se aanso behne lage. Ali forun uske pas beth gaya aur uske aanso saaf karne laga.

Ali:"Sneha please mat ro. Sab kuch theak ho jayega. Main hoon na?"

Sneha:"Kya theak hoga ab? Maine woh ghar chor diya hai."

Ali:"Kyun kya huwa?"

Sneha:"Kyun ke unhe main badchalan lagti hoon aur kehte hain ke tumhare sath apna moun kala kar wa rahi hoon." Ali yeah sun ke ghuse se pagal ho gaya.

Ali:"Chalo mere sath dekhta hoon kis ki jurat huyi tumhe yeah kehne ki?" Woh yeah keh kar uthne laga lekin Sneha ne hath pakad ke bitha liya.

Sneha:"Nahi Ali pehle hi buhat tamasha ho gaya hai. Wese bhi woh toh kab se mujhe ghar se nikalne ka mouka dekh rahi thi. Ab toh main bhi wahaan jana nahi chahati."

Ali:"Theak hai phir chalo mere sath. Mere ghar chalo sab theak ho jayega."

Sneha:"Pagal ho gaye ho kya? Kis rishte se sath chaloun? Kya har dost ko utha ke ghar le jate ho?"

Ali:"Par hum sirf dost hi toh nahi. Isse barh ke bhi toh ek rishta hai hum main."

Sneha:"Kya aur kesa rishta?" Dono ek duje ki aanhoun main kho chuke the aur saama tha ke bas tham sa gaya tha.

Ali:"Pyar ka rishta."

Sneha:"Pagal ho gaye ho kya? Kis rishte se sath chaloun? Kya har dost ko utha ke ghar le jate ho?"

Ali:"Par hum sirf dost hi toh nahi. Isse barh ke bhi toh ek rishta hai hum main."

Sneha:"Kya aur kesa rishta?"

Ali:"Pyar ka rishta." Yeah baat bina souche samjhe us kemoun se nikli thi. Youn keh lain ke dil main joh aarmaan pehli baar hi Sneha ko dekh kar paida ho gaye tha aaj laboun pe aa hi gaye. Yeah sun kar chand lamhoun ke liye Sneha chup rahi. Pehli baar kisi ne youn igraar-e-mouhabat ki thi. In khamoush lamhoun main joh mouhabat ke paak ahesaas ko woh dono mehsoos kar rahe the aur joh wade aankhoun hi aankhoun main kiye ja rahe the woh bhala shabdoun main kahaan kahe ja sakte the? Aakhir Sneha ne hi is khamoushi ko toda dhere se yeah keh kar ke

Sneha:"Pagal ho gaye ho kya?"

Ali:"Such poucho toh woh toh tumhe pehli baar hi dekh kar ho gaya tha. Phir bhi agar kisi ko pagloun ki tarha chahana aur ushi ke khayaloun main khoye rehna aur chahe din ho yaan raat ushi ke sapne dekhna pgalpan hai toh haan main pagal ho gaya hoon."

Sneha:"Tum ne aaj tak toh aesa nahi kaha phir aaj yeah sab kese?"

Ali:"Bhala itna aasaan hai yeah kya? Tum souch bhi nahi sakti ke kitni hi baar kehne ko dil kiya par tumhe kho dene ka dar itna tha ke apne aarmanoun ko dil hi dil main marta raha aur umeed karta raha us din ki jab tumhe apna dil dikha sakoun jis ki har dhakan main tum hi basi huyi ho." Woh yeah sab sun kar ek baar phir park ke bench par baith gayi. Ek ajab ahesaas tha yeah. Kisi ko aesa kehte suna ke woh aap ko itna chahate hain. Sath hi sath abhi tak woh Mamta ke diye ghaou bhool bhi na oayi thi ke Ali ne itni badi baat is mouke pe keh di.

Sneha:"To kya yeah sahi mouka hai? Tum jante ho na ke abhi kuch hi deer pehle mere sath kya huwa hai? Aur ab yeah sab? Mujhe samjh nahi aa rahi ke kya kahoun?"

Ali:"Main toh aaj bhi na keh pata lekin dil ki baat pe aaj kabu na rakh saka jab tum ne hamre bech kya rishta hai pouch liya. main janta hoon tum pe kya beet rahi hai Sneha aur is hi liye tumhara hath thamna chahata hoon. Ho sake toh mera aetbaar kar lo. Wada karta hoon ke zindagi ke kisi bhi mour par tumhe thoukar nahi khane donga."

Sneha:"Yeah sab itna aasaan nahi hai jitna tum samjh rahe ho. Is pyaar mouhabat se bahir bhi ek duniya basti hai jis duniya main main ek garib teacher ki woh beti hoon joh kal ko apne boudhe mata pita aur apni behan ke liye bhi kuch karna chahati hai. Aaj yeah haal hai ke mere pe hi koyi chat nahi toh apni zimedariyaan kese nibha paoungi? Aur aese main is pyaar mouhabat ke liye kahaan jaga hai? Ali tum buhat ache ladke ho. Kounsi aesi ladki hogi joh tumhare jaisa jevan sathi nahi pana chahegi? Par main woh ladki nahi jise tumhare paiwaar wale tumhare liye pasand karenge. Zara farak toh dekho hum dono ke pariwaroun main. Kyun aesa koyi rishta shuru karna chahate ho jis ka anjaam bas dukh dard pe hi khatam ho?"

Meriaiza
Meriaiza
13 Followers